PM 1000 Agriculture Graduates Training in China 2025 – Registration Online

PM 1000 Agriculture Graduates Training in China 2025 ne ek zabardast international training program launch kiya hai jiska naam hai “Prime Minister’s Initiative for Capacity Building of 1,000 Agricultural Graduates in China.” Ye program puri tarah fully funded hai aur iska maqsad hai Pakistan ke agriculture sector ko modern technology ke zariye behtar banana.

Visit: Honhaar Scholarship Phase 2 Laptop Distribution 2025

Batch-1 April 2025 mein successfully China chuka hai, aur ab Batch-3 ke liye applications open hain. Limited seats hain, is liye apply karne mein dair mat karein!

Program Ka Maqsad

Ye program Pakistan ke talented agricultural graduates ko China ke top universities aur research centers mein advanced training dene ke liye hai. Training ke duran aap modern techniques aur naye tools ka practical experience lenge, jaise:

  • Farm mechanization

  • Biotechnology aur genomics

  • AI, IoT aur drone technology

  • Irrigation systems aur water-saving solutions

  • Crop aur livestock processing

Training ke baad, participants wapas Pakistan aa kar master trainers ke tor par kaam karenge, taake local communities aur institutions ko bhi naya ilm mil sake.

Important Dates

  • Application Deadline: 4 May, 2025 (raat 12 baje tak, PST)

  • Next Batch Departure (Tentative): Mid-2025

Eligibility Criteria

  • Aap ke paas BS/BSc (Hons) 4 saal, MS/MPhil ya PhD honi chahiye kisi agricultural field mein.

  • CGPA kam az kam 3.0/4.0 hona chahiye (ya First Division).

  • Umr 35 saal se kam honi chahiye application deadline ke din.

  • 2 saal ka experience zaroori hai kisi bhi relevant area mein.

  • Aapko MS Office aur email ka achi tarah istemal aana chahiye.

Visit: BISP 8171 Web Portal Update: Maybe to be Reactivated in July 2025

Priority Areas (Training Kis Mein Hogi?)

  1. Farm Mechanization

  2. Crop Breeding aur Genomics

  3. Smart Agriculture (Drones, IoT, AI, etc.)

  4. Pest aur Disease Surveillance

  5. Livestock Vaccine Development

  6. Livestock Genomics & Breeding

  7. Agri-product Processing

  8. High-efficiency Irrigation

  9. Fruit & Vegetable Processing

Apply Kaise Karein?

  1. Visit karein: https://chinatraining.fsp.gov.pk

  2. Online form bharain apne personal, educational aur work details ke sath.

  3. Required documents upload karein:

    • CNIC

    • Degrees & transcripts

    • Recent photograph

    • Public sector employees ke liye NOC

  4. Submit karein 4 May 2025 se pehle.

  5. Shortlisted candidates ko email/SMS ke zariye agla process bataya jayega.

ADD

PM 1000 Agriculture Graduates Training in China 2025
PM 1000 Agriculture Graduates Training in China 2025

FAQs (Aksar Pooche Gaye Sawalat)

Q: Application ka last date kya hai?
A: 4 May, 2025 (raat 12 baje tak).

Q: Kya ye program fully funded hai?
A: Ji haan, travel, accommodation aur training ki tamam costs government cover karegi.

Q: Kon apply kar sakta hai?
A: Jo log agriculture field ke graduate hain (BS, MS ya PhD), relevant area mein 2 saal ka tajurba hai, aur 35 saal se chhote hain.

Q: Training kitne arse ki hoti hai?
A: Training 3 se 6 mahinay tak ho sakti hai.

Q: Training ke baad kya hota hai?
A: Wapas aakar aap master trainer banenge aur local farmers aur institutions ke sath apna ilm share karenge.

Q: Agar main job karta hoon to apply kar sakta hoon?
A: Ji haan. Lekin agar aap public sector mein hain to NOC lazmi hai.

Prime Minister Free Smartphone Scheme 2025 – How to Apply

Leave a Comment