Petrol Price in Pakistan Today – Fuel Prices

Petrol Price in Pakistan Today 16 May 2025 se le kar 31 May tak ke liye Pakistan mein petrol ki qeemat Rs. 252.63 per liter par barqarar rakhi gayi hai. Log umeed kar rahe thay ke is baar rate kam hoga, lekin hukoomat ne koi tabdeeli nahi ki. Dusri taraf, High-Speed Diesel (HSD) ke istemal karne walon ke liye zaroor acha khabar hai diesel ki qeemat mein Rs. 2 per liter ki kami ki gayi hai, jiske baad naye rate Rs. 254.64 per liter ho gaye hain (pehle Rs. 256.64 thay).

Visit: Pakistan Railway Jobs 2025 – Multiple Position

Naye Fuel Rates 16 May se laagu

  • Petrol: Rs. 252.63 per liter (koi tabdeeli nahi hui)

  • High-Speed Diesel (HSD): Rs. 254.64 per liter (Rs. 2 ki kami)

Petrol Sasta Kyun Nahi Hua?

Haal hi mein international market mein tel ki qeemat mein girawat dekhi gayi, aur import premium bhi kam hua. Is wajah se logon ne socha tha ke petrol bhi sasta ho ga. Magar hukoomat ne petrol ki price stable rakhne ka faisla kiya. Ye mumkin hai ke sarkari revenue targets aur petroleum levy jaise factors ne is faislay par asar dala ho.

Diesel Ki Kami Ka Asar

Diesel sasta hone ka faida sab se zyada transport, farming aur industrial sectors ko hoga. Ye woh log hain jo diesel par heavily depend karte hain. Diesel ki price kam hone se in sectors ki cost thodi si kam ho sakti hai, jiska asar mehngai par bhi pad sakta hai.

Visit: Rashan Card Program 2025 – 3,000 Monthly for Poor Women

Petrol ke rate barqarar rehne ka matlab hai ke rozana gari chalane walay logon ko abhi bhi wahi Rs. 252.63 per liter dena ho ga.

Aage Kya Hoga?

Fuel prices har 15 din baad dobara review hoti hain. Agla review 31 May 2025 ke aas paas expected hai. Global oil rates aur local economic policies ko dekhte hue agle update ka intizaar rakhein.

Official sources se updates lena na bhooliye ga, taake aapko sahi maloomat milti rahe.

Green Tractors Scheme 2025 – Subsidy on Tractors for Farmers

Leave a Comment