Green Tractor Scheme Phase 2 Date ne farming ko modern aur asaan banane ke liye Green Tractor Scheme ka doosra marhala launch karne ka faisla kiya hai. Pehle phase mein 9,500 tractors diye gaye the, aur ab Phase 2 mein ye number 20,000 tak barhaya ja raha hai. Scheme July 2025 se shuru hogi aur is baar aur zyada faide milenge.
Visit: CM Punjab Honhaar Scholarship Program 2025 – Check Deadline
Phase 2 Mein Kya Kya Milay Ga?
-
Total Tractors: 20 hazaar tak distribute kiye jaenge
-
Subsidy: Har kisan ko Rs. 10 lakh tak ki raqam tractor par milegi
-
Tractor Brands: Local banaye gaye tractors jaise Massey Ferguson aur New Holland (Al-Ghazi)
-
Horsepower Range: 50 HP se le kar 85 HP tak ke models
-
Target: Choti zameen walay kisano ki madad aur naye zamane ki farming ka farogh
Apply Karne Ka Waqt Aur Tareeqa
-
Application Start Date: July 2025 (exact tareekh jald batayi jaegi)
-
Apply Kahan Karna Hai?
👉 Online Portal par: gts.punjab.gov.pk
Kaun Log Apply Kar Saktay Hain?
Apply karne ke liye kuch basic requirements hain:
-
Punjab ka bashinda hona chahiye
-
1 se 50 acres zameen ka malik ho (Punjab Land Records ke zariye tasdeeq zaroori hai)
-
Phase 1 mein tractor na liya ho
-
Kisi bank se qarz ya default na ho
-
CNIC aur ownership documents tayar hon
Visit: PM Laptop Scheme 2025 – Registration Date Extended
Application Process Kaise Hoga?
-
Portal open karein: gts.punjab.gov.pk
-
Apna form fill karein apni maloomat aur zameen ki detail likhein
-
CNIC, zameen ke kagzaat, aur passport photo upload karein
-
Verification team aap ki maloomat check karegi
-
Agar applicants limit se zyada hue to digital draw hoga
-
Chune gaye applicants ko SMS aur letter ke zariye inform kiya jaye ga
-
Payment Bank of Punjab ke zariye ki jaye gi
-
Tractor authorized dealer se free delivery ke sath diya jaye ga
Visit: CM Punjab Solar Panel Scheme for Households 2025
Is Baar Kya Naya Hai?
-
Tractor ki taadaad zyada ab 20,000 available hain
-
Subsidy mein izafa kuch farmers ko Rs. 15 lakh tak ki madad mil sakti hai
-
Transparent aur fair system digital balloting ka system hai
-
Local tractor industry ka faida sirf Pakistani tractors use honge
Madad Aur Information Ke Liye
-
Helpline: 0800-17000
-
Official Site: gts.punjab.gov.pk
Aakhri Baat
Ye scheme un logon ke liye hai jo sach mein farming se jude hain. Zyada subsidy, behtar tractors, aur simple process ki wajah se ye mauka chhota kisan ke liye ek naya dor la sakta hai. Agar aap eligible hain, to site par nazar banaye rakhain registration jald shuru hone wali hai.