CM Punjab Launched Free Insulin Program 2025 – Full Details

CM Punjab Launched Free Insulin Program ki qiyadat mein, ek zabardast initiative start kiya hai Free Insulin Program sirf un bachon ke liye jo Type-1 Diabetes ka shikar hain aur 14 saal se chhote hain. Ye qadam un families ke liye asani paida karega jo har roz is mushkil bimari ka samna kar rahe hain.

Visit: MCB Honda Installment 2025 – Free Offer and Pricing Details

Free Insulin Program Kya Hai?

  • Program Ka Naam: CM Maryam Nawaz Insulin Program

  • Shuruaat Ka Din: 2 December 2024

  • Kis Ke Liye Hai? Sirf wo bachay jo 14 saal se chhote hain aur Type-1 diabetes mein mubtala hain

  • Maqsad: Bachon ko free insulin un ke ghar tak pohanchana, taake hospital jaane ki zarurat kam ho aur ilaaj mein koi rukawat na aaye

Is program ka focus ye hai ke har bacha jo is bimari ka shikar hai, usay regular insulin mile bina kisi financial tension ke.

Visit: PU Admission Test For Undergraduate Programs 2025-26

Registration Kaise Karein?

Agar aap apne bache ko register karwana chahte hain, to yeh tareeqay istemal kar saktay hain:

  1. Helpline 1033 par call karein: Ye toll-free number hai jahan se aapko complete guidance milay gi

  2. DHQ/THQ Hospitals par jaa kar: Har district aur tehsil hospital mein NCD Clinics ke zariye registration desk available hai

  3. Mobile App ke zariye: Ek khas app launch ki gayi hai jahan se aap online register kar saktay hain aur updates bhi milti rahengi

Once registration ho jaye, insulin proper cooling mein rakh kar aur glucometer ke sath aapke bache ke ghar deliver ki jaye gi.

Parents Ke Liye Mazid Madad

  • Free Counseling: Maa-baap ke liye free sessions arrange kiye jate hain taake wo apne bache ki diabetes ko achi tarah samajh saken

  • Awareness Material: Guide books aur informative booklets milti hain jisme insulin ka sahi use aur sehatmand zindagi ka tareeqa bataya gaya hota hai

Program Barhaya Ja Raha Hai

Abhi ye program kuch selected areas mein start hua hai, lekin government ne announce kiya hai ke jald poore Punjab mein isay expand kiya jaye ga. Har district tak insulin pohnchay gi aur har eligible bacha is ka faida utha sakay ga.

Visit: PM Laptop Scheme 2025 – Registration Date Extended

CM Maryam Nawaz Ka Peghaam

Chief Minister Maryam Nawaz ne kaha:

“Bachay phoolon ki tarah hote hain. Hum unhein murjhane nahi denge. Har bacha behtareen dekhbhaal ka haqdar hai.”

Unho ne ye bhi wada kiya ke diabetes jaise chronic illnesses ka bojh uthana sirf families ka kaam nahi, balkay hukumat bhi unka saath degi.

Program Ke Highlights Ek Nazar Mein

  • Har registered bache ko muft insulin aur glucometer milay ga

  • Insulin direct ghar tak safe storage ke sath deliver ki jaye gi

  • Parents ke liye counseling aur awareness ki sahulat

  • Free registration through helpline 1033, government hospitals, ya mobile app

  • Program ko Punjab ke har district tak expand kiya ja raha hai

CM Punjab Solar Panel Scheme for Households 2025

Leave a Comment