CM Punjab ACAG Scheme Phase 2 Registration Online 2025

CM Punjab ACAG Scheme Phase 2 Registration ne Apni Chhat Apna Ghar Scheme ka Phase 2 officially launch kar diya hai. Is scheme ka maqsad hai ke Punjab ke ghareeb aur be-ghar logon ko 15 lakh tak bina sood (interest-free) qarz diya jaaye taa ke wo apna ghar khud bana saken aur izzat bhari zindagi guzar saken.

Visit: PSER New Registration Start April 2025 : Door-to-Door Survey Launch

Aap ghar baithe asaani se online apply kar sakte hain. Neeche hum ne mukammal tareeqa, eligibility criteria aur zaroori documents ke saath step-by-step process explain kiya hai taa ke aapko kahin aur jaanay ki zarurat na ho.

CM Punjab ACAG Scheme Phase 2 Registration
CM Punjab ACAG Scheme Phase 2 Registration

❓ Phase 2 Dobara Kyun Shuru Kiya Gaya?

Phase 2 un logon ke liye shuru kiya gaya hai jo pehle phase mein qualify nahi kar paaye thay. Punjab Government ne yeh step is liye uthaya hai taa ke zyada deserving logon tak madad pohanch sake. Is bar registration ka process aur asaan banaya gaya hai aap apne mobile ya laptop se ghar baithay apply kar sakte hain.

Jo log is phase mein successful register kar lein ge, unhein 15 lakh tak qarz bina kisi interest ke mil sakta hai.

Visit: CM Punjab Skilled Initiative 2025 | Full Guide

βœ… Eligibility Criteria

Agar aap ne in tamam sharaait ko pura kiya hai to aap eligible hain:

  • Punjab ke shehri hon aur Punjab ka CNIC aur domicile rakhtay hon

  • Pehle phase mein loan nahi liya

  • Kisi bank se pehle loan nahi liya, na hi kisi qarz ke defaulter hain

  • Aap ke naam koi zameen, business ya gari nahi hai

  • Aap ki monthly aamdani 50,000 se kam ho

  • PMT score 34% se kam ho

Agar aap in tamam points par pura utarte hain, to aap yeh qarz lene ke liye eligible hain.

πŸ“‹ Zaroori Documents Apply Karne Se Pehle Tayyar Rakhein

Registration ke liye aap ke paas yeh documents honay chahiye:

  • Apna Computerized ID Card (CNIC)

  • Shohar ya walid ka CNIC

  • Apne naam par registered mobile number

  • Bijli, gas ya mobile phone ka bill

  • Income certificate ya salary slip

Visit: Punjab Rashan Card Registration 2025 Started For 3000 Per Month

  • Affidavit jisme likha ho ke applicant ke paas ghar nahi hai

  • Email address for future updates

Yeh tamam documents NADRA office se verify karwaya ja sakta hai agar zarurat ho.

πŸ–₯️ Step-by-Step Registration Process (Online Apply)

  1. Visit karein: acag.punjab.gov.pk

  2. Click karein β€œRegister Now” button

Form Fill Karein:

  • Apna Full Name likhein

  • Apna relation select karein (Son/Daughter/Wife of)

  • Walid ya shohar ka naam

  • Apna aur walid/shohar ka CNIC number

  • Gender select karein

Visit: CM Punjab Honhaar Scholarship Program 2025 – Registration Process

  • Division, District, Tehsil aur City select karein

  • Apna Mobile Network aur mobile number likhein

  • Apna email address add karein

  • Password set karein aur confirm karein

  • Phir Register button par click karein

πŸ” Application Status Kaise Check Karein?

Jab aapka registration complete ho jaaye, to aap asaani se apni application ka status check kar sakte hain:

  1. Login page par jaayein

  2. Apna CNIC number aur password enter karein

  3. β€œI’m not a robot” box tick karein

  4. Login button par click karein

  5. Dashboard par aap apni application ki latest updates, verification aur approval status dekh sakte hain

🏠 Aakhri Baat

Apni Chhat Apna Ghar Scheme Phase 2 Punjab ke ghareeb aur be-ghar logon ke liye ek zindagi badalne wala moka hai. Chief Minister Maryam Nawaz Sharif ke is qadam se ab har deserving fard apna ghar banwa sakta hai baghair sood ke qarz ke.

Registration ka tareeqa simple aur online hai. Sirf eligibility check karein, documents ready rakhein, form fill karein aur apna ghar banane ka pehla qadam uthaayein.

Yeh scheme aap ki zindagi ka naya safar shuru kar sakti hai. Apply karein, updates check karte rahein, aur ghar ke khwab ko haqeeqat banayein!

PM Loan Scheme For Agriculture 2025 – Full Guide

Leave a Comment