BISP New Payments Temporarily Stop For 2 Days

BISP New Payments Temporarily Stop Jaise ke aap log jaante hain, BISP yani Benazir Income Support Program ne hal hi mein apne Kafalat aur Taleemi Wazaif programs ke zariye naye payments jaari kiye thay. Lekin ab in payments ko 2 din ke liye temporarily band kar diya gaya hai. Iss article mein aapko bataya jaayega ke ye payments kyun roki gayi hain, aur dobara kab se regular tor par start hongi.

Isi ke sath sath, main aapko ye bhi bataunga ke 8171 web portal abhi tak active kyun nahi hua aur iska dobara chalu hona kab expected hai. Aur jo log abhi tak payments nahi le sake first phase mein, unke liye bhi second phase ki mukammal info milegi.

Agar aap bhi in tamam cheezon ke baare mein jaan’na chahte hain, to ye article aapke liye hai. Aap isey complete parhein taake aapko kisi bhi maslay ka samna na ho.

Payments Temporarily Kyun Band Hui Hain Aur Kab Dobara Milengi?

Sabse pehle baat karte hain ke BISP ne payments do din ke liye temporarily kyun roki hain. To iska sabse bara reason hai official holidays, yani Saturday aur Sunday.

Pehle aisa hota tha ke payments in dinon mein bhi milti rehti thi, lekin is dafa system ko update karne aur kuch technical issues ki wajah se, 2 din tak payments stop kar di gayi hain.

BISP New Payments
BISP New Payments

Lekin tension lenay ki bilkul zarurat nahi. Monday se dobara payments regular tor par milni start ho jaayengi. Lekin yaad rahe ke Monday se sirf unhi districts mein payments milengi jo first phase mein shaamil thay.

8171 Web Portal Abhi Tak Active Kyun Nahi Hua?

Ab baat karte hain 8171 web portal ki jo ke abhi tak band hai. BISP ki taraf se abhi tak koi official update nahi aayi is portal ke hawale se. Lekin andarooni sources ke mutabiq ye portal Monday tak dobara active ho sakta hai.

Kuch logon ka kehna hai ke payments ka rokna bhi shayad isi wajah se hai ke portal temporarily band hai. Kyunke jab log apni payments online check nahi kar pate, to campsites pe rush bohat ziada ho jaata hai.

Lekin ghabrane ki zarurat nahi, agar Monday tak portal wapis chalu nahi bhi hota, phir bhi payments resume kar di jaayengi. Jo log un districts se hain jahan first phase ke payments aaye thay, wo araam se apna paisa le sakte hain.

Jaise hi web portal ke baare mein koi naya update aata hai, aapko foran inform kiya jaayega.

Second Phase of BISP Payments Kab Start Hoga?

Ab baat karte hain un logon ki jo second phase ka intezar kar rahe hain. Pehle phase mein sirf 104 districts ko shaamil kiya gaya tha. Jo districts baaqi reh gaye thay, unki payments abhi nahi aayi.

Un logon ke liye good news ye hai ke second phase mein unka number aa jaayega. Abhi tak BISP ki taraf se koi official date nahi aayi, lekin andazay ke mutabiq May ke month mein second phase start ho sakta hai.

Jaise hi iske baare mein confirm info aayegi, aapko foran inform kiya jaayega. Tab tak sabr karein aur apne documents ready rakhein.

Final Words

Jab aapne suna ke BISP payments temporarily band kar di gayi hain, to shayad aapko thoda shock laga ho. Lekin ab aapko mukammal info mil chuki hai ke kyun payments roki gayi hain aur kab se dobara milengi.

Sath hi, aapko ye bhi maloom ho gaya ke 8171 web portal abhi tak kyun band hai aur kab tak wapas chalu ho sakta hai. Aur end mein, aapne jaan liya ke second phase ke payments kab tak expected hain.

Umeed hai ke ye article aapke liye faidemand sabit hoga. Agar aapka koi aur question hai ya kisi cheez ki further guidance chahiye, to zarur comment mein puchhein. Hum koshish karein ge ke aapko barwaqt aur correct info dein.

Benazir Kafalat 13500 Payment Announced 2025

Leave a Comment