Benazir Kafalat 13500 Payment Announced 2025

Benazir Kafalat 13500 Payment Akhirkar intezar khatam ho gaya hai! Pakistan government ne officially announce kar diya hai ke Benazir Kafalat Program mein shamil khawateen ke liye naye quarterly payments shuru ho rahe hain aur is dafa Rs. 3,000 ka izafa bhi kiya gaya hai!

Yeh paisay agle 1 ya 2 dinon mein milna shuru ho jayenge. Agar aap bhi is program ka hissa hain, to yeh article zaroori hai har important detail yahan simple words mein share ki gayi hai.

Regular Payments Kab Se Shuru Hogi?

Sab se pehle yeh baat clear kar lein ke regular payments officially 7 April se start hone ka plan tha yani Eid-ul-Fitr ke foran baad. Lekin us waqt BISP ne note bhi diya tha ke yeh tabhi shuru hogi jab tamam arrangements complete honge.

Benazir Kafalat 13500 Payment
Benazir Kafalat 13500 Payment

Lekin ab 11 April tak payments regular basis par issue nahi hui, is wajah se ab yeh almost confirm hai ke payments 10 April se onward start ho rahi hain.

Kya Payments Phases Mein Di Jaengi?

Ji haan, pehle yeh kaha ja raha tha ke sab khawateen ko ek hi dafa paisay milenge, lekin latest BISP update ke mutabiq payments is dafa bhi phases mein hi distribute hongi bilkul pichli dafa ki tarah.

Visit: BISP 8171 Phase 1 Payment Update April 2025| Big New

Matlab, pehle kuch selected districts mein paisay release honge, aur baad mein baaki areas ko include kiya jayega.

Phase 1 Mein Konsay Districts Shamil Hain?

Agar aapka district is list mein hai, to aapko pehle phase mein hi paisay milenge. Yahan hai un districts ki list jo pehle phase mein shamil hain:

  • Sahiwal

  • Kasur

  • Bahawalnagar

  • Mianwali

  • Multan

  • Toba Tek Singh

  • Jhang

  • Lodhran

  • Chiniot

  • Dera Ghazi Khan

  • Okara

  • Sheikhupura

  • Bahawalpur

  • Layyah

  • Gujranwala

Visit: https://www.bisp.gov.pk/

Payment Receive Karne Ka Asaan Tareeqa

Agar aapka district upar wali list mein hai, to yeh steps follow karein takay aapko asaani se paisay mil sakein:

  1. CNIC aur Apna Registered Mobile Number le kar apne qaribi BISP Payment Center ya designated camp par jayein.

  2. Sabse pehle aapki initial screening hogi ek slip milegi jisme likha hoga kitna paisa mil raha hai.

  3. Phir aap center ke andar jaayenge aur apni biometric verification karwaenge.

  4. Verification complete hone ke baad aapko paisay mil jaayenge.

  5. Wapas nikalte waqt ek aur check hoga jahan confirm kiya jaata hai ke aapko full amount mili ya nahi  taake kisi bhi qism ki deduction ya fraud se bachaya ja sake.

Important Note for All Women in the Program

  • Apna original CNIC zaroor le kar jayein.

  • Mobile number aapke apne naam par registered hona chahiye.

  • Kisi agent ya middleman ke chakkar mein na padhein.

  • Payment lene ke baad slip sambhaal kar rakhein – yeh record ke liye hoti hai.

  • Agar koi paise kaat raha ho to foran center pe complaint karein.

Conclusion

  • Rs. 3,000 ka izafa ho chuka hai quarterly payment mein

  • Regular distribution agle 1-2 din mein start ho rahi hai

  • Payments phases mein milengi, pehla phase 15 districts mein

  • Asaan aur secure tareeqa bataya gaya hai paisay receive karne ka

  • Fraud se bachne ke tips bhi share kiye gaye hain

Agar aap BISP Kafalat ki beneficiary hain, to yeh update aapke liye important hai. Har step yahan asaan zabaan mein explain kiya gaya hai, takay aapko office jaane ki zaroorat na ho.

Agar abhi bhi koi sawal hai, feel free to ask in comments – hum guide karne ke liye tayyar hain!

Ehsaas Rashan Program 8123 Web Portal Updates 2025

Leave a Comment