AZAG Application Status How To Check ne Chief Minister Maryam Nawaz Sharif ki qiyadat mein ek bohat hi zabardast housing scheme ka aghaz kiya hai jiska naam hai Apni Zameen Apna Ghar (AZAG) Program 2025. Is scheme ke zariye low-income families ko Punjab ke 19 zilaon mein free 3 marla residential plots diye ja rahe hain. Hukoomat ne transparency aur asani ke liye ek online portal launch kiya hai jahan applicants apni application ka status check kar saktay hain.

AZAG Program Ka Maqsad Kya Hai?
Yeh program un logon ke liye hai jo apna ghar afford nahi kar saktay. Ab aise log jo sirf sapna dekh saktay thay apne ghar ka, unka yeh sapna pura ho sakta hai.
Portal: azag.punjab.gov.pk
AZAG Status Kaise Check Karein?
Agar aap already apply kar chukay hain, toh apna status dekhne ke liye yeh steps follow karein:
-
Official portal open karein: azag.punjab.gov.pk
-
Homepage par “Sign Up” par click karein
-
Apna CNIC number enter karein
-
Submit button press karein
-
Aap ka application status show hoga: Approved, Under Review ya Rejected
Yeh system 24/7 available hai, bilkul free, aur sirf CNIC ya application number ki zarurat hoti hai.
Kaun Status Portal Use Kar Sakta Hai?
Sirf woh log jo official AZAG portal ke zariye apply kar chukay hain:
-
CNIC aur mobile number ke zariye registration hui ho
-
Application ID save ki ho
-
Apni maloomat theek se fill ki ho
Visit: Punjab Rashan Card Registration 2025 Started For 3000 Per Month
AZAG Program Ke Zilay Aur Plot Distribution
Phase-1 mein 2000 plots 19 districts ke andar 23 housing schemes mein diye ja rahay hain. Kuch important zilaon ki tafseel yeh hai:
-
Jhelum: 730 plots
-
Kasur: 388 plots
-
Faisalabad: 257 plots
-
Lodhran: 218 plots
-
Okara: 130 plots
-
Aur bohat se…
Yeh taqseem har ilaqay ke logon ko barabar ka moka deti hai.
Approval Ke Baad Kya Hoga?
Agar aapki application approve ho jaye to:
-
SMS milega aapke registered number par
-
Portal status “Approved” mein badal jaye ga
-
Aapka naam computerized ballot mein chala jaye ga
-
Agar ballot mein select huay to plot number aur scheme ki tafseel milegi
-
Ownership documents issue ho jayein ge
Visit: CM Punjab Honhaar Scholarship Program 2025 – Registration Process
Plot Ke Istemaal Ki Sharaait
Hukoomat ne kuch zaroori rules rakhe hain:
-
6 months mein construction start karni hogi
-
2 saal ke andar ghar complete karna hoga
-
Plot 5 saal tak sell, rent ya transfer nahi kiya ja sakta
-
Agar fraud ya misuse pakra gaya to plot cancel ho jaye ga
Eligibility Criteria
-
Punjab ka permanent resident ho
-
Valid CNIC rakhta ho
-
Pakistan mein kisi aur jagah residential property na ho
-
Low-income ya homeless family se ho
-
Kisi fraud, criminal case ya default mein na ho
-
Sirf ek application per family allow hai
-
Application sirf current residence ke district mein ki ja sakti hai
Verification NADRA aur PHATA ke zariye hoti hai.
Visit: PM Loan Scheme For Agriculture 2025 – Full Guide
Apply Karne Ka Tarika (Agar Abhi Tak Apply Nahi Kiya)
Agar aap apply nahi kar chukay to yeh steps follow karein:
-
Portal open karein: azag.punjab.gov.pk
-
“Apply Now” par click karein
-
CNIC aur mobile number enter karein
-
Personal aur financial details fill karein
-
Documents upload karein (CNIC front/back, income proof, waghera)
-
Submit karein aur Application ID save karein
Yeh poori process online hai. Kisi office jaane ki zarurat nahi.
Help Line Aur Support
Kisi bhi maslay ya confusion ki surat mein contact karein:
-
Helpline: 0800-09100
-
Official Portal: azag.punjab.gov.pk
Aakhri Baat
Apni Zameen Apna Ghar Program ek revolutionary qadam hai jismein gareeb aur beghar logon ko zameen ka haq diya ja raha hai. Digital portal ki madad se yeh process bilkul transparent aur asaan ban gaya hai. Aap sirf apna CNIC ya application number dal kar har stage ka update ghar baithay le saktay hain.
Yeh sirf aik plot ka program nahi yeh izzat aur apni chhat hasil karne ka moka hai.