BISP 8171 Phase 1 Payment Update April 2025| Big New

BISP 8171 Phase 1 Payment Update Agar aap bhi yeh soch rahe hain ke BISP ka agla installment 13,500 PKR kab aur kis sheher mein milay ga, to aap bilkul sahi jagah par hain. Aaj main aapko clear aur simple tareeke se bataon ga ke kis sheher mein paisay milain ge, kab milain ge, aur agar aap naye beneficiary hain to aapko kya expect karna chahiye.

13,500 Ka Installment Kab Shuru Ho Raha Hai?

Sabse pehle baat karte hain date ki. Naya installment 13,500 rupees ka Monday, 14 April 2025 se start ho raha hai. Pehle suna tha ke 7 April se mile ga, lekin cash ki availability ka issue tha is liye date ko aage shift kar diya gaya hai.

Friday ko milne ki umeed thi kuch logon ko, lekin aam tor par BISP payments Monday ya Wednesday ko hi milti hain. So apna calendar mark kar len—14 April is the official date!

Kis Ko Milay Ga Yeh 13,500 Wala Installment?

Agar aap regular beneficiary hain (matlab ke pehle bhi BISP ke paisay lete aaye hain), to aapko yeh paisay milne ke full chances hain.

Lekin agar aap naye registered hain (abhi haal hi mein NSER survey complete kiya hai), to ho sakta hai ke aapko abhi is dafa installment na mile. Aisi reports aa rahi hain ke naye beneficiaries ko July 2025 se pehla payment mile ga. Confirm info abhi tak nahi mili, lekin jese hi milti hai, update zaroor doon ga.

Phase 1 aur Phase 2 – Konsay Sheher Mein Paisay Milain Ge?

Yeh installment 2 phases mein mil raha hai.

Phase 2 (Late Payments) – In Shehron Mein 14 April Ko Paisay Nahi Milain Ge:

Yeh woh sheher hain jahan payments HBL Connect ke zariye hoti hain, aur inka phase 2 mein number aye ga shayad May ya June 2025 mein.

Agar aap in shehron mein rehte hain, to 14 April ko campsites par mat jaiye—abhi aapka number nahi aaya.

Shehron ki list:

Rawalpindi, Murree, Attock, Pakpattan, Faisalabad, Okara, Sheikhupura, Chakwal, Toba Tek Singh, Jhelum, Islamabad, Mandi Bahauddin, Narowal, Sialkot, Rajanpur, Gujrat, Gujranwala, Wazirabad, Nankana Sahib, Vehari, Jampur, Sargodha, Bhakkar, Khushab, Karachi Central, Karachi East, Korangi, Malir, Karachi South, Karachi West, Thatta, Umerkot, Lasbela, Gwadar, Khairpur, Harnai, Ziarat, Sibi, Lakki Marwat, Shangla, Quetta, Kech, Panjgur, Loralai, Duki, Bannu, Haveli, Bajaur

Agar aapka sheher is list mein hai, to thoda sabr karein—payments next phase mein milain gi.

Phase 1 (Early Payments) – In Shehron Mein 14 April Ko Paisay Milain Ge:

Good news! Agar aapka sheher upar wali list mein nahi hai, to aap Phase 1 mein hain. Aapko 13,500 ka installment 14 April se 21 April 2025 ke darmiyan mil jaye ga.

Yeh un ilaqon ke liye hai jahan payments Bank Alfalah, JazzCash, EasyPaisa ya Bank of Punjab ke through milti hain.

Examples: Mianwali, Multan, Rahim Yar Khan, Chiniot, Dera Ghazi Khan, Tounsa

To agar aapka sheher Phase 2 wali list mein nahi hai, to be ready—campsite par 14 April ko pohanch jaiye!

Paisay Kaise Milain Ge?

Agar aap Phase 1 mein hain, to apne qaribi BISP campsite par jayein between 14 April to 21 April. CNIC (ID card) zaroor saath le kar jayein.

Paisay aapko milein ge:

  • Bank Alfalah

  • JazzCash

  • EasyPaisa

  • Bank of Punjab

Visit Website: official

Bonus: Agar aap Taleemi Wazaif ke liye bhi eligible hain (children’s stipends), to woh bhi is installment ke sath mil sakte hain!

Note: Phase 2 waalon ko Taleemi Wazaif bhi baad mein hi milay ga jab unka main installment aye ga.

Pehle Payment Lene Wali Auratein Kya Karen?

Kuch auratein jo pehle NSER survey complete kar chuki hain, unko shayad kuch part payment mil chuki ho. Abhi ye confirm nahi hua ke unko full 13,500 mile ga ya nahi. Jese hi is ka confirmation milta hai, main aapko update karun ga—wada raha!

Aakhri Baat

To dosto, agar aapka sheher Phase 2 wali list mein nahi hai, to tayyar ho jayein 14 April ko apni payment lene ke liye! Aur agar aapka sheher list mein hai, to fikar nahi karein—aapka number bhi agle phase mein aa jaye ga, shayad May ya June mein.

Agar kisi sheher ka status unclear hai, ya koi confusion hai, to comments mein zaroor poochhein—main puri koshish karun ga aapki madad karne ki.

Allah kare sab ko asaani se paisay mil jayein. Ameen!

Leave a Comment