BISP Survey Last Date ne haal hi mein ek ahem aur zaroori announcement ki hai. Un tamam haqdaar logon ko jo pichlay 3 saal se BISP ki financial madad le rahe hain, kaha gaya hai ke agar unhon ne abhi tak apna survey update nahi kiya, to ye kaam jaldi se jaldi mukammal karen. Warna unki madad band ho sakti hai aur woh program se hamesha ke liye nikal diye jaenge.
Visit: 3 Major Motorways Closed for Traffic Due to Strong Winds 2025
Is liye, main aaj aapko is article mein survey update karne ka mukammal aur authentic tareeqa bataunga, takay aap asaani se apna survey dobara karwa saken.
Survey Dobara Karna Kyun Zaroori Hai?
BISP mein shaamil logon ka intikhab NSER survey ke zariye hota hai. Magar ab BISP ne naye tareeqe se verification start ki hai. Woh log jo 3 saal se madad le rahe hain, unko dobara survey karwana zaroori hai takay yeh dekha ja sake ke:
-
Kya ab bhi unka maali halat poor hai?
-
Kya ghar ka koi shakhs sarkari naukri mein to nahi?
-
Kya unka PMT score limit se zyada to nahi ho gaya?
Agar survey update nahi kiya gaya to BISP ka system aise logon ko automatically program se nikal dega.
Visit: New Updates: Farmers to Pay Massive Fine for Stubble Burning
Achhi Khabar Ineligible Families Ke Liye Dobara Mauqa
Ab BISP ne un families ko bhi dobara survey karne ka moka diya hai jo pehle kisi wajah se program se nikal di gayi thi. Woh log bhi ab survey karwa kar dobara BISP ke programs, jaise Kafalat program, ka hissa ban sakte hain. Yeh faisla mehngai aur ghurbat ko dekhte hue liya gaya hai.
Kin Logon Ko Survey Karna Zaroori Hai?
Survey un sab logon ke liye zaroori hai jo:
-
Pichlay 3 saal se BISP ki madad le rahe hain
-
Abhi tak Dynamic Survey complete nahi kiya
-
June 2025 ke baad bhi madad lena chahte hain
Agar aap ne survey update nahi kiya to aap permanently disqualify ho jaenge aur future payments nahi milengi.
Survey Ke Liye Zaroori Documents
Agar aap BISP ke office ja rahe hain to ye documents zaroor sath le kar jayein:
-
Original CNIC (Computerized National Identity Card)
-
Ghar ka bijli ka bill
-
Bachon ke bay form
-
Agar kisi shakhs ko mazoori hai to Disability Certificate
-
Agar aap widow hain to Shohar ka Death Certificate
Visit: 8171 BISP Eligibility Check Online & SMS 2025
Survey Kahan Update Karwaya Ja Sakta Hai?
BISP ka survey sirf BISP ke Tehsil Office mein update hota hai. Kuch ilaqon mein BISP ki mobile van bhi chal rahi hai jo survey karti hai.
Yaad rahe: Online survey ka koi tareeqa nahi hai. Agar koi shakhs aapko keh raha hai ke survey online hota hai, to uski baat par bilkul yaqeen na karein. Aise shakhs ko BISP helpline pe report karein.
Survey Update Karne Ka Asaan Tareeqa Step-by-Step
-
Apne tamam documents ikatthe karein aur kareebi BISP Tehsil Office jaayein
-
Wahan registration desk pe ja kar apna ID card number dein aur token hasil karein
-
Waiting area mein apni bari ka intezaar karein
-
Jab aapki bari aaye, to survey registration room mein chalein
-
Wahan ka staff aap se sawalat karega aur survey update karega
-
Sawalat ke jawab imandari se dein ghalat info dene par aap disqualify ho sakte hain
-
Survey complete hone ke baad aapko ek confirmation SMS milega
-
Kuch dinon mein eligibility ka faisla aapko SMS ke zariye bataya jaega
Visit: Benazir Taleemi Wazifa Rs.12,500 Installment Approved 2025
Agar Survey Time Pe Complete Na Hua To Kya Hoga?
Agar aap ne 30 June 2025 tak survey complete nahi kiya, to:
-
Aapko aane wali kishton ka paisa nahi milega
-
Aap do saal tak dobara apply bhi nahi kar sakte
-
Aap permanently BISP se disqualify ho jaenge
Is liye survey ko time pe complete karna bohot zaroori hai.
Aakhri Baat
BISP ka yeh qadam is liye uthaya gaya hai takay sirf wohi log madad lein jo waqai mein mohtaaj hain. Umeed hai ke aapko is article se puri samajh aayi hogi ke survey kyun zaroori hai, kaise hota hai, aur agar na karwaya to kya nuksaan hoga.
Agar aapko mazeed maloomat chahiye ho to niche comment karen ya BISP ki helpline pe rabta karein.