8171 Ehsaas Program NADRA Registration ka ek aham muhim hai jo ghareeb, bayrozgaar logon, bewaon aur yateemon ki madad ke liye banaya gaya hai. Is program ke zariye har 3 mah baad Rs. 13,500 ki cash imdaad di jati hai, taake log khuraak, bijli ke bill ya doosri zarurat ki cheezein khareed saken.
Visit: Rashan Card Program 2025 – 3,000 Monthly for Poor Women
2025 mein Ehsaas Program ke liye NADRA ka Kirdar
NADRA ka kaam hai ke sirf haqdaar logon ko ye imdaad mile. Woh CNIC aur family ka data check karte hain aur verify karte hain ke aadmi waqai zaruratmand hai ya nahi.
NADRA ke Zariye Ehsaas Program Mein Registration Ka Tareeqa
-
Apna asli CNIC le kar kareebi NADRA office mein jaayein.
-
Wahan batayein ke aap Ehsaas ya BISP program ke liye apply karna chahte hain.
-
NADRA staff aapka CNIC aur family ka data apne system mein check karega.
-
Phir aapka NSER (National Socio-Economic Registry) survey complete kiya jaayega.
-
NADRA aapka data BISP ko bhejta hai approval ke liye.
-
Kuch dino baad aapko 8171 se SMS ke zariye tasdeeq mil jaayegi.
NADRA Kis Tarah Verification Karta Hai?
-
CNIC check kiya jaata hai ke woh valid hai aur applicant kisi sarkari naukri ya bade assests ka malik toh nahi.
-
NSER survey se milakar tasdeeq hoti hai ke aadmi asal mein ghareeb hai.
-
Biometric (anguthay ka nishan) system use kiya jaata hai fraud rokne ke liye.
-
Pura verification process takreeban 7 se 10 din mein mukammal hota hai.
Visit: Green Tractors Scheme 2025 – Subsidy on Tractors for Farmers
Registration Status Kaise Check Karein?
1. Online:
Website www.8171.pass.gov.pk par jaayein, apna 13 huroof wala CNIC number aur captcha code daal kar “Maloom Karen” button par click karein.
2. SMS:
Apne phone se CNIC number (baghair dashes ke) type kar ke 8171 par bhej dein. Kuch dair mein aapko eligibility ka SMS mil jaayega.
Kaun Apply Kar Sakta Hai?
Agar aap:
-
Pakistani hain aur valid CNIC rakhte hain.
-
Aapki monthly aamdani Rs. 25,000 se kam hai.
-
Aap ke naam par zameen, gari ya bara asset nahi hai.
-
NSER survey mein shamil hain.
-
Bewa, mazdoor, bayrozgaar, mazdoor ya kisi ghareeb khandan se taluq rakhte hain — toh aap apply kar sakte hain.
Visit: Energy Reform Plan Power and Gas Subsidies for BISP 2025-26
Program Se Kya Milta Hai?
Cash Imdaad:
Har 3 mah baad Rs. 13,500 HBL Konnect ya Ehsaas Camps ke zariye milta hai.
Doosre Faide:
Kuch logon ko Ehsaas Rashan scheme mein rashan par discount milta hai aur school jaane wale bachon ko Taleemi Wazaif bhi milte hain.
Munsefana Nizam:
NADRA ka biometric nizam ensure karta hai ke paisa sirf haqdaar ko mile.
Kamyabi Ke Liye Chand Zaroori Tips
-
Apna CNIC valid rakhein. Agar expire ho gaya ho toh NADRA se renew karwa lein.
-
Agar aap NSER mein nahi hain toh BISP office jaa kar apna survey zaroor karwa lein.
-
Registration bilkul free hai. Kisi ko paisa dena na pade. Fraud ya scam ki report 0800-26477 par karein.
-
Apni application ka status SMS ya 8171 ki website se track karte rahain.
Yeh Program Kyun Zaroori Hai?
Ehsaas Program se 90 lakh se zyada khandanon ko madad mil rahi hai, aur 2025 mein mazeed logon ko shamil kiya jaayega. Yeh program ghurbat ke khilaaf aik bara qadam hai. Khawateen ko direct paisa milta hai jisse unka role bhi mazboot hota hai. NADRA ki madad se ye system zyada safe aur tezi se kaam karta hai.
CM Punjab Solar Program Tubewells Phase 2 Launch Date Announced